har khushi hai logon ke daaman main,
par ek hansi ke liye waqt nahi.
din raat daudti duniya main,
zindagi ke liye hi waqt nahi.
maa ki lori ka ehsaas to hai,
par maa ko maa kehne ka waqt nahi.
saare rishton ko to hum maar chuke,
ab unhe dafnane ka bhi waqt nahi.
saare naam mobile main hain,
par dosti ke liye waqt nahi.
gairon ki kya baat karien,
jab apno ke liye hi waqt nahi.
aankhon main hai neend badi,
par sone ka waqt nahi.
dil hai ghamon se bhara hua,
par rone ka bhi waqt nahi.
paison ki daud me aise daude,
ki thakne ka bhi waqt nahi.
paraaye ehsaason ki kya qadr karein,
jab apne sapno ke liye hi waqt nahi.
tu hi bata ae zindagi,
iss zindagi ka kya hoga,
ki har pal marne walon ko,
jeene ke liye bhi waqt nahi.
Advertisement
wah..wah..isko padne ke liye to sabko waqt nikalna chahiyee